Dil tootne ke baad song is from and it is sung by . This song was released on 01 Jan 2018.
dil tutne ke baad bhi tuta nahi hu aba tak

jinda rahunga tab tak jinda rahunga tab tak
tum chot donge jab tak
paigaam maine apna pahuncha diya hai rab tak

aankho mein ab tak bas khab tere aaye
is gam mein bebsi mein rato mein so na paye
tanha rahe to aksar yado ke ghar banaye
in aansuo ki raho mein wo ghar bhi bah hi jaye
is ishq ki girft se chhuta nahi hu ab tak
jinda rahunga tab tak jinda rahunga tab tak
tum chot donge jab tak
paigaam maine apna pahuncha diya hai rab tak
dil tutne ke baad bhi tuta nahi hu aba tak

main janta hu tumne dhokha diya hai mujhko
fir bhi na koi shikwa fir bhi main chahu tujhko
ummid hai ye ab bhi jayenga ye andhera
ye raat khatm hogi aayenga fir sawera
tum to khafa huye ho main rutha nahi hu ab tak