Dil mein aag lagaye song is from and it is sung by and . The music of this song is composed by . This song was released on 18 Feb 2014.
Ho.. mujhe teri chahat ke gham ki kasam

Zamaane ki har ek kasam ki kasam

Main tere liye hoon, tu mere liye

Sitamgar tere har sitam ki kasam

Dil mein aag lagaye sawan ka mahina

Nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

Dil mein aag lagaye sawan ka mahina

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena

Tune mujhe jo zakhm diye

Un zakmon ko nahin sina..

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena

Ho... ho...

Ho.. is dil se armaan yeh nikle

Ek hi ghoont mein jaan yeh nikle

Ho.. is dil se armaan yeh nikle

Ek hi ghoont mein jaan yeh nikle

Zehar judaai wala ghoont-ghoont nahin pina

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena

Tune mujhe jo zakhm diye

Un zakmon ko nahin sina..

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena

Ho.. yeh teri yaadon ka mausam

Pyaar bhare wadon ka mausam

Yeh teri yaadon ka mausam

Pyaar bhare wadon ka mausam

Is mausam ke bichhade shayad milein kabhi na

Nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

Ho.. tune mujhe jo zakhm diye

Un zakmon ko nahin sina..

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena

Ho.. ishq ibadat, ishq hai pooja

Ishq khuda ka naam hai dooja

Ho.. ishq ibadat, ishq hai pooja

Ishq khuda ka naam hai dooja

Yeh dil Mathura, Kashi, Kaaba aur Madina

Nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

Dil mein aag lagaye sawan ka mahina

Nahin jeena nahin jeena tere bin nahin jeena

Nahin jeena, nahin jeena tere bin nahin jeena