Dil ko laga ke song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
Dil ko laga ke bhul se
Dil ka nisha mita diya
Dil ka nisha mita diya
Hamne bhari bahar me
Apna chaman jala diya
Apna chaman jala diya


Dunia ki har jafa sahi
Kuch bhi magar na kah sake
Dunia ki har jafa sahi
Kuch bhi magar na kah sake
Humne wafa ke nam par
Jo kuch bhi tha luta diya
Jo kuch bhi tha luta diya


Shikwa kisi se kya kare
Marzi hai ye nasib ki
Shikwa kisi se kya kare
Marzi hai ye nasib ki
Chaha jise mita diya
Chaha jise bana diya
Dil ka nisha mita diya


Leke falak ke chand ko
Koi kare to kya kare
Leke falak ke chand ko
Koi kare to kya kare
Apna to ek chand tha
Dunia ne jo chupa diya
Dunia ne jo chupa diya


Kisko khabar thi pyar me
Jal jal ke khak honge hum
Kisko khabar thi pyar me
Jal jal ke khak honge hum
Khak hai kya jaha mili
Jisko mili uda diya
Jisko mili uda diya.