Dil ka bharosa to nahin hai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Kuldeep Sehgal. This song was released on 26 Jul 1961.
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Mehfil mein machal jaaye
Ab aisa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai


Kyun hat'ti nahin parde se
Betaab nigaahen
Kyun hat'ti nahin parde se
Betaab nigaahen
Parde ke udhar
Meri tamanna to nahin hai
Parde ke udhar
Meri tamanna to nahin hai


Sab husn ke kaayal hain
Magar meri tareh se
Sab husn ke kaayal hain
Magar meri tareh se
Be-dekhe kisi ne tumhen
Chaaha to nahin hai
Be-dekhe kisi ne tumhen
Chaaha to nahin hai


Kyun jhukne lagi aankhen
Chhalakne lagey saagar
Kyun jhukne lagi aankhen
Chhalakne lagey saagar
Maikhaane ke baahar
Koi pyaasa to nahin hai
Maikhaane ke baahar
Koi pyaasa to nahin hai


Aa jaao ke hum apna jahaan
Aap basaa len
Aa jaao ke hum apna jahaan
Aap basaa len
Duniya ye
Kisi kaam ki duniya to nahin hai
Duniya ye
Kisi kaam ki duniya to nahin hai


Farmaane lagey dekh ke wo
Dil ka tadapnaa
Farmaane lagey dekh ke wo
Dil ka tadapnaa
Hai dard
Magar itna ziyaada to nahin hai
Hai dard
Magar itna ziyaada to nahin hai


Parwaana ghazal aaj teri
Kar gayi jaadu
Parwaana ghazal aaj teri
Kar gayi jaadu
Ye faiz usi mast nazar ka to nahin hai
Ye faiz usi mast nazar ka to nahin hai


Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai
Mehfil mein machal jaaye
Ab aisa to nahin hai
Sach kehte ho tum
Dil ka bharosa to nahin hai.