Dil jo na keh saka song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 14 Feb 1965.
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Naghma sa koyi jaag utha badan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Ho mubarak tumhe kisi ki larajti si baahon mein
Rahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Taubaa ye kis ne anjuman sajaa ke
Tukde kiye hain guncha-e-wafaa ke
Tukde kiye hain guncha-e-wafaa ke
Ho uchhaalo gulon ke tukde
Ke rangeen fizaaon mein rahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Chaliye mubaarak jashn dosti kaa
Daaman to thaamaa aap ne kisi kaa
Daaman to thaamaa aap ne kisi kaa
Ho hamen to khushi yahi hai
Tumhen bhi kisi ko apnaa kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Saagar uthaao dil kaa kis ko gham hai
Aaj dil ki qeemat jaam se bhi kam hai
Aaj dil ki qeemat jaam se bhi kam hai
Ho piyo chaahe khoon-e-dil ho
Ke peete pilaate hi rahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaje dil kahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Female Version – Lata Mangeshkar
Hmmm hmmm hmmm hmmm
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Naghma sa koyi jaag uthaa badan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Ho pyaar ki inhi dhadakti
Dhadakti fizaaon me
Rahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Ab tak dabee thi ek mauj-e-armaan
Lab tak jo aayi ban gayee hai toofaan
Lab tak jo aayi ban gayee hai toofaan
Ho baat pyaar ki bahakti
Bahakti nigaahon se kahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Guzren na ye shab khol doon ye julfen
Tumko chupaaloon moond ke ye palkein
Tumko chupaaloon moond ke ye palkein
Ho bekaraar si larajti
Larajti si chaaon mein
Rahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka