Dhanya dhanya hai song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Prem Adib. This song was released on 01 Jan 2018.
Dhanya dhanya hai avadhpuri
Dhanya waha ki phoolwari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari


Avadhpuri ke uttar disha
Dariyo ki dhara behti hai
Raja dashrath raj kare aur
Praja chain se rahti hai
Praja chain se rahti hai


Ann dhan se bhar pur ayodhya
Teen lok se hai nyari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari


Chham chham karti chali kamini
Hai solah singar kiye
Aankho mein sansar liye
Hatho mein sundar har liye
Satvanti hai sabhi nariya
Sat par apne balihari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari


Ram lakhan aur bharat
Shatru ghan
Char ratan hai raja ke
Jinme sabse bade ram hai
Pran pyare parja ke
Pran pyare parja ke
Ram liye dhanwan rakshaso ke
Marne ki hai bari
Jaha ram ne janam liya hai
Dhanya waha ke nar nari
Dhanya waha ke nar nari.

More songs from Ram Vivah (1949)