Chhaa_ii birahaa kii raat moraa tadape jiyaa song is from and it is sung by .It stars , , and in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Jan 2018.
( chhaa_ii birahaa kii raat
moraa tadape jiyaa
mose ruuthe piyaa
ko_ii man kaa sahaaraa nahiin
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahiin ) -2
( pal bhar men tuut gaye sapanon ke motii
aansuu men duub ga_ii nainon kii jyotii ) -2
nainon kii jyotii
suune-suune se hain aaj
mere aashaa ke dwaar
na_iyaa kaise lage paar
jab saamane kinaaraa nahiin
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahiin
( man kaa singaar meraa kisane hai chhiinaa
haathon se chhuut ga_ii aashaa kii biinaa ) -2
aashaa kii biinaa
kho_ii-kho_ii sii hai aaj
mere jiiwan kii priit
ga_uun ro-ro ke ye giit
mere nainon kaa taaraa nahiin
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahiin
chhaa_ii birahaa kii raat
moraa tadape jiyaa
mose ruuthe piyaa
ko_ii man kaa sahaaraa nahiin
ho ko_ii man kaa sahaaraa nahiin