Chand ne kholi song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Ravindra Peepat. This song was released on 29 Jul 1988.
Chand ne kholi jadu ki pudiya
Lakh khilone meri ek gudiya
Sans mein sans rahti hain
Jab samne hain meri gudiya
Chand ne kholi jadu ki pudiya
Lakh khilone meri ek gudiya


Tu jo kahe le aawa main
Tare aasman ke
Tere liye le aaunga
Sapne sare jaha ke
Neend hai ek chhota safar
Chhota sa palna or pariyo ka ghar
Neend hain ek chhota safar
Chhota sa palna aur pariyo ka ghar
Neend mein neend aayegi
Jab soyegi tu meri gudiya
Chand ne kholi jadu ki pudiya
Lakh khilone meri ek gudiya


Main to chand lungi
Leke chalo mujhe waha
Main chand se khelungi
Kitna suhana hoga waha
Chani ka jharna hain bahta jaha
Kitna suhana hoga waha
Chani ka jharna hain bahta jaha
Le chalunga ye wada raha
Zara si badi ho meri gudiya
Chand ne kholi jadu ki pudiya
Lakh khilone meri ek gudiya


Yaha hoon main yaha hoon main
Batao main chipi kaha hoon
Waha nahin waha nahin
Are main to khadi yaha hoon
Aankh se tu jab ojhal hogi
Sans meri har bojhal hogi
Sans meri har bojhal hogi
Sans mein sans aayegi
Jab samne hogi meri gudiya
Chand ne kholi jadu ki pudiya
Lakh khilone meri ek gudiya.