Bhor ki sheetal dhoop song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 01 Dec 2009.
Behata hai paani jab,
Khilati hai dhoop jab
Hoti hai mitti mein khushbu jab,
Sirf pyaar jhalakata hai
Baantkar pyaar hi
Ban jaayenge hum, sirf pyaar


Bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak
Haan…bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak
Tum use kamare mein bichhaana
Raatbhar jaagkar maine
Usame uns ka rang ghola hai
Tum use deewaaron pe sajaana
Bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak


Bada jashn mana rahein hain yeh abrr aaj
Bada jashn mana rahein hain yeh abrr aaj
Mil gayi hai shaayad megha ki aane ki khabar
Phalak par chha rahi hai betaabiyaan
Jamin se hota abb nahi sabar
Mitti se aa rahi hai saundhi khushbu
Inn bundon ko gale se lagaana
Raatbhar jaagkar main
Inamein uns ka rang ghola hai
Tum inhe gaalon pe sajaana
Bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak


Chal rahi hai guftagu koyi phoolon ke bich
Chal rahi hai guftagu koyi phoolon ke bich
Chori chori sun rahi hai yeh hawaayein
Bekhud hokar gun guna rahein hain patte
Baagh mein bhari hai laakhon adaayein
Mehakati rehati hai ruh is kaayanaat ki
Inn hawaao ko saanson mein basaana
Raatbhar jaag kar maine
Iname uns ka rang ghola hai
Tum inhe dil mein utaarana
Bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak
Tum use kamare mein bichhaana
Raatbhar jaagkar maine
Usame uns ka rang ghola hai
Tum use deewaaron pe sajaana
Bhor ki shital dhup
Jab darichon par de dastak
De dastak, de dastak.