Arjun hai tu yeh tera kurukshetra hai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Pravin Shah. This song was released on 10 Nov 2000.
Kurukshetra, kurukshetra, kurukshetra, kurukshetra

Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal
Arjun hai tu yeh tera kurukshetra hai
Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal

Dar ke jeena nahin sar jhukana nahin
Mushkil hai manzil magar rukna nahin haar kar
Dar ke jeena nahin sar jhukana nahin
Mushkil hai manzil magar rukna nahin haar kar
Tere aage peechhe hoga yeh jahaan
Yoddha hai tu yeh tera kurukshetra hai
Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal

Shakti apni badha, kar ke tu kuchh dikha
Kal ki chinta na kar, bas apna tu karm kar
Shakti apni badha, kar ke tu kuchh dikha
Kal ki chinta na kar, bas apna tu karm kar
Geeta ka bhi yehi updesh hai
Yugandhar hai tu yeh tera kurukshetra hai
Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal

Sach tere saath hai, jang ki raat hai
Hai aatma sarthi, hai yeh ghadi vaar ki
Sach tere saath hai, jang ki raat hai
Hai aatma sarthi, hai yeh ghadi vaar ki
Ho jaaye na Draupdi ka cheer haran
Krishna hai tu yeh tera kurukshetra hai
Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal

Arjun hai tu yeh tera kurukshetra hai
Tera karm hi shastra hai
Rukna nahin badhta chal, badhta chal

Yada yada hi dharmasya glaanirbhavati bhaarat
Abhyutthaanam adharmasya tadaatmaanam srijaamyaham
Paritraanaay saadhunaam vinaashaay cha dushkritaam
Dharm sansthaapanaarthaay sambhavaami yuge yuge