Aayi aaj vida ki bela song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by Chandrakant. This song was released on 19 Dec 1964.
Aayi aaj bida ki bela
Aayi aaj bida ki bela
Ghadi badi gambhir
Ran me veer chala
Danush khadag tumir kawach se
Saja hua hai sharir
Ran me veer chala


Kaisi kathin parisha leta
Tu bhi haye vidhata
Tadap rahi hai maa ki mamta
Aasu tapak na mata
Kunti dropadi dekh rahi hai
Kunti dropadi dekh rahi hai
Bhar aankho me neer
Ran me veer chala
Aayi aaj vida ki bela ghadi badi gambhir
Ran me veer chala


Pahnati hai har subhadhra
Vyatha kahi na jati
Hariday dhadakta hath kapte
Phati ja rahi chati
Laga rahi hai bida ka tika
Laga rahi hai bida ka tika
Apna kaleja chir
Ran me veer chala
Aayi aaj vida ki bela
Ghadi badi gambhir
Ran me veer chala


Bichad raha hai jivan sathi
Samay ki gati hai nyari
Pran piya se mil na saki re
Pran piya ki pyari
Bani aaj nirdosh uttra
Bani aaj nirdosh uttra
Karuna ki tasvir
Ran me veer chala
Aayi aaj vida ki bela
Ghadi badi gambhir
Ran me veer chala.