Aaj mausam bada beimaan hai song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by R.C. Kumar. This song was released on 12 Mar 1973.
Bada beimaan hai, aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam
Aane wala koi toofan hai
Koi toofan hai, aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam

Kya hua hai, hua kuchh nahin hai
Kya hua hai, hua kuchh nahin hai
Baat kya hai pata kuchh nahin hai
Mujhse koi khata gayi to
Ismein meri khata kuchh nahin hai
Khoobsurat hai tu, rut jawan hai
Aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam

Kaali-kaali ghata dar rahi hai
Kaali-kaali ghata dar rahi hai
Thandi aahein hawa bhar rahi hai
Sabko kya-kya gumaan ho rahe hain
Har kali hum pe shaq kar rahi hai
Phoolon ka dil bhi kuchh badgumaan hai
Aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam

Aye mere yaar, aye husn wale
Aye mere yaar, aye husn wale
Dil kiya maine tere hawale
Teri marzi pe ab baat thehri
Jeene de chahe tu maar daale
Tere hathon mein ab meri jaan hai
Aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam
Aane wala koi toofan hai
Koi toofan hai, aaj mausam
Ho aaj mausam bada beimaan hai
Bada beimaan hai, aaj mausam
Aaj mausam
Aaj mausam
Aaj mausam