Aaj ki raat badi shokh badi song is from and it is sung by and .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . It is produced by R. Chandra. This song was released on 15 Jun 1965.
Aaj ki raat badi shokh
Badi natkhat hai
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi
Ab to tere hi yahaan
Aane kaa ye mausam hai
Ab tabeeyat na khayaalon
Se bahal paayegi


Haay paani ki ye rimjhim
Ye guledaar phuhaar
Aise nas nas mein teri
Chaah jagaa jaati hai
Jaise pinjre mein kisi
Qaid pade panchhi ko
Apni aazaad udaanon ki
Yaad aati hai
Ab to aa jaao
Ab to aa jaao meri
Maang ke sindoor suhaag
Saans teri hai
Saans teri hai tere
Naam pe mit jaayegi
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi


Aisi hi raat to wo thhi
Ke teri nazron ne
Mujhe pahnaayaa thaa jab
Pyaar ke kapdon kaa libaas
Aur us raat bhi aisi hi
Sharaabi thhi fizaa
Jab teri baahon mein
Mahki thhi meri saans-o-adaa
Aur ab aisi
Aur ab aisi jawaan rut
Mein akeli main hoon
Aa jaa warnaa
Aa jaa warnaa ye shamaa
Kaanp ke bujh jaayegi
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi
Shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi


Hmm hmm hmm
Par thahar wo jo wahaan
Par thahar wo jo wahaan
Lete hain footpaathon par
Laash bhhi jinki kafan
Tak na yahaan paati hai
Aur wo jhonpde chhat
Bhi na hai sar par jin ke
Chhaate chhappar hi jahaan
Zindagi so jaati hai
Pahle in sab ke liye
Pahle in sab ke liye ek
Imaarat gadh loon
Phir teri maang
Phir teri maang sitaaron
Se bhari jaayegi
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi
Shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa
Neend nahin aayegi.