Aa ja re piya song is from and it is sung by .It stars , , , in leading roles. This song is penned by and composed by . This song was released on 17 Jun 2011.
Aa ja re piya jiya jaaye na
Sang tode mere peeche aage teri parchaiyaan
Bina dor teri or piya man kincha jaye haan
Bina dor teri or piya man kincha jaye haan
Aa ja re piya jiya jaaye na
Aa ja re piya

Jee uthi khwahishein, saans li jazbaaton ne
Ab to jagna shuru kar diya meri raaton ne
Main ikatthi karta hun kehne ko baatein kai
Par tujhe dekh ho jaate hain lafz hi lapata
Mujhe hoti khabar tak nahi aur tu chhal jaaye
Aa ja re piya jiya jaaye na
Aa ja re piya

Ab ragon mein jo basar hai
Woh tera hi asar hai
Phir bhi tu bekhabar hai o piya
Ab ragon mein jo basar hai
Woh tera hi asar hai
Phir bhi tu bekhabar hai o piya

Kori si zindagi pe rang kuchh aise chadhte hain
Haat jese koi geeli mitti ko gadhte hain
Aadatan hi sahi badla hai kuchh to kahin
Kabhi to aankhein band kar ke bhi dikhta hai sab naya
Yun lage ke jahan mein nahi koi apne siwa
Aa ja re piya jiya jaaye na
Aa ja re piya